Saturday, November 26, 2022

My Elder Brother BhaiJan @Akbar M. Bilgrami (Masroor) (1936 t0 2022) son of Syed Farrukh Hasan Bilgrami & Syeda Asia (Abida) Begum Bilgrami

 I was born on 30th September 1941 likewise I was 5 years Younger than Bhaijan (Masroor).  .
Mujhey Bhaijan mein Bhaijan yaad nahin , illa  Partpgarh mein eik dafa Bhaijan k  saath  hum dono Railway Phatak ki taraf gaye thae Jahan per  Surgeon ki Car (Blue color) Mud mein phuns gayee thee (Bhaijan ka saath Partapgarh ki eik yeh hi yaad hai)..
Bachpan (10 maah ki umer ) se apni walida Baaji Amma ki alalat ki wajeh se  Amman Joe meri walida ki manjhli bahen theen aur inke shohar merey walid k sagey chotey maamoon, k saath Bhorikpur Partapgarh mein raha ,.Aksar Parents aur family se milne k liye  House 5, Siptain Road, Partagarh Jaana hota thaa, 
  Aapa-Ji (Mushtaq ) joe Bhaijan se one n half years  k qareeb choti theen , merey zahen mein hain, woh mujh ko dekh ker chipta laitee thee aur piyaar kerti theen , Suna hai ki hum dono ki shaklain miltee theen ,  Bhai-Mian (Qamrul Hasan) Joe Bhai Jan se barey thae woh toe achhi tarah yaad hain,  Rai Bareli  (1944 se 1946-7) se bhi Patrtap garh jana howa aur Bhai Mian k sath Partagarh k baazar mein chaat khayee thee, woh mujhko ley ker Rai Bareili aaya thae aur wahan pata chala ki Dadey aur Amman Bilgram chaley gsaye Barey Dadey ka Inteqal ho gaya (Shayed 1946-7) .,
Rai Bareili se Aligarh chaley gaye aur 1947 se 1952 tuk Bhaijan se raabta na howa .

Waqt guzerta gaya yaa aagey berhta gaya aur hum 1952 Hardoi mein Aligarh se aaye aur reunion of family howee , Iss zamaney mein bhi  mein Amman Dadey k saath aur Bhaijan Babu Baji Amman k saath lekin hum sub  ki rehayesh eik jagah joe Bavajan aur Ibban Bhai ka Baag aur Civil Lines ki eik bahut maaroof Jagah (Nazir Manzil ) thee.
 Yahan Bhai jan aur mein Aam k baagh mein Hockey stick se Ball hit kertey aur eik doosrey ki taraf phainktey aur yahi Khail aksar hota thaa.
Bhaijan 9th mein thae aur mein sixth mein..Mein ne 8th clear ki toe Bhaijan ne Metric clear kiya .
Baag mein rehashi tabdeeli aayee aur Poora Khandan Nazir Manzil mein shift ho gaya thaa.1953.
 2022 mein bhaijan se bahut rabta raha aur whatsapp per baat aur messages ka silsila raha , Itnee guftugo ya exchchanges of talks hum dono k beech kabhi nahin rahey thae, agar yeh kahoon ki saari zindagee ki guftugoo eik taraf aur 2022 ik eik tarah toe bhi 2022 ka palra bhari hi ho gaa . Is zamane mein bahut c nayee baatain bhaijan se maaloom hoyeen aur zindagee k bahut se nashaib wa faraza ka ilm howa .
Humko kiya pata thaa ki yeh 2022 hum dono ki zidagee ka Aakhri saal bun jaaye gaa aur Mera Bara bhai jiss se sagey rishton mein sub se purani rishtey daari hai woh Bara bhai 6 November 2022 ko apnee barayee k saath apni aakhri manzil ki taraf inteqal ker jaaye gaa.
Hardoi parahi k douran koyee khaas baatain toe yaad nahin ,  Bus mujhko sixth mein Bhaijan ka Coat serdion mein  mila aur mein ne shouq se pehana thaa , Lekin phir seventh mein dubara inka coat mujhko diya jaane laga toe mein ne kaha ki mein purana nahi pehnoo  gaa aur mujh ko bhi naya Coat aur Bhaijan ko bhi Naya Coat mila .
Bhaijan Group study kertey thae aur inke dost Kothee (Nazir Manzil ) k kamrey mein studies kertey thae . Bhaijan aur mein Eik hi College R. K. College, Hardoi  mein thae aur Doe bhayun ki wajeh se meri fees aadhi ho gayee thee , Joe teen saalon tuk rahi...
Bhaijan ne sen 2022 mein share kiya ki inka Metric kerna 1955 mein Bilgram mein hamarey ghar k liye eik bahut ahem baat thee aur Bavajan bahut khush hoye thae, Khandan mein kaafi arse k baad kisi ne Metric kiya thaa .>
Iss waqt hamarey gharelo Maashi haalaat bahut achchey na thae aur yeh Babu ,Baaji Amma k liye maashi aitbaar se eik mushkil waqt thaa. Lekin unhon ne yeh waqt bhi bahut baa-waqaar tareeqey se guzaara aur kisi k aagey haath nahin phailaye bus Allah ki madad aur himmat se hi agey bareh aur auladon ko ser utha ker jeena sikhaya. - Babu Kothi mein bhi kiraya dey ker rehtey thae .(Shayed Rs 5 diya kertey thae - Joe jagah Babu ne li ya inko mili yeh dhoyen se kaali hoyee thee, toe Akhtar joe bachey thae eik din boley ki Bavajaan ne humko yeh kaali jagah dee hai , hum bhi inko Kala hi ghar dein gae. 
Amma ne mujh ko bataya thaa ki Farrukh mian ne tumko hamarey saath (1942) rakhne ki eik shert rakhi thee ki Mushir k Kapron aur taaleem ki zimmedaari ka khercha woh uthayen gae . (Khane peeney ka hisaab iss zamaney mein maayub samjha jaata thaa )
Yahin Nazir Manzil mein Bhaijan ko Urine infection (Paishab ruk gaya thaa ) aur woh aaj bhi mujh ko charpayee per laite hoye yaad hain.
Iss zamane k Bhaijan se bahut rabt zabt nahin thaa eik toe 5 saal ka ferq doosrey Bhaijan bahut khaamosh aur mein khilendra aur her jagah mera amal dakhal , Noeroz mein hum shareek Rung khailne mein , Patang urane mein, her khail mein sub saath saath bus Bhaijan hum sub se alag thalag .
Bhaijan ki aagey ki taaleem k liye Lucknow ka intekhab howa,   Kiyun yeh faisla howa iska pata nahin,                              -
 Lekin yeh baat aaj bhi yaad hai ki iske liye ghar mein zaraye na thae aur Baaji Amman ne apne saarey bertan tanbey aur Peetal k Baichey thae - woh barey barey bertanon ka dhaer aaj bhi meri nazron mein hai bahut barey bertan thae .
 Bhaijan Lucknow chaley gaye aur wahan eik kamre mein kiraye per rehtey thae aur College mein perhtey thae . Iss zamane mein mein Amman aur Dadey k saath Muharrum ka aashura kerne k liye Manjhley daadey k ghar gaya thaa.   Daadey/Amman aksar Manjhley Dadey k paas Lucknow jaatey thae aur mein toe inke saath hi hota tha .
Lucknow mein Manjhley Dadey aur Manjhoo Chacha eik Imambargah waley ghar mein jahan neechey Imambargah aur Orange Machliyan eik Fish pond mein mujh ko yaad hain , Doosri jagah jahan Najmul Bhai , aur Kabban saath rehtey thae , samne maidan thaa, aur teesree Jagah oopri manzil mein rehayesh aur neechey Kharbooze aur kakariyan biktee theea  jaana howa , yahan hi Mein ne aur Shama (Now Bahbhi jan) ne saath cigrette pee thee - Bhabhi jan (Shama) Manjhley dadey ki cigreett layee aur hum dono ne Seereeh per kharey ho ker kush liye thae . Iss se pehley ki Bhabhi-jan merey zahen mein nahin aur Hardoi Station per Jub Manjhley dadey Pakistan aa rahey thae toe Hum ne Train k dabbey mein dekha thaa aur woh lamha aaj bhi yaad hai (Bahut khubsurat chehra, eik baal ki lat samne thee) .   
Najmul Bhai waley ghar k zamane mein Bhaijan Lucknow mein thae ' Bhaijan ki taaleem jaari na reh saki (Bahut se wajoohaat hon gae shayed) aur bhaijan wapas aa gey Hardoi.
Jub hum Lucknow gaye thae toe Faqa shiknee k liye Dadi k sath hi hona thaa , hum aur Bhaijan ko Bhook lagee thee toe Bhune howey chane ley ker khaye thae kiyuki Faqa shiknee k liye kafi waqt chahiye thaa . Hum dono ne bhune chaney khareedey thae aur eik saath khaye thae. .
Merey aur Bhaijan k beech mein 5 bahut ahem hain m mein bhaijan se 5 saal choeta,  1947 se 1952  5 years tuk eik doosrey se nahin miley ,  2017 se 2022 tuk 5 saal baad hum dono miley lekin bahut ajeeb andaz mein  

No comments:

Post a Comment